May 11, 2015

armaan

kitni hi hain khwaahishein
kitne hain armaan
maayne hain sabhi ke
kaise karoon bayaan

besabra yeh soch meri
maare badi chhalaang
bewafaa hai yeh waqt
aata nahi hai haath

rukta nahi hai koi
madadgaar ho tum khud hi ke
lado, maro, ya jo bhi
khud hi se lo hisaab

ziddi hain yeh khwaahishein
badtameez mere armaan
roke nahi rukenge
bina pahunche apne mukaam

poore karunga kaise
khud se yeh waade behisaab
apni hi hain yeh khwaahishein
apne hi toh armaan

-- bulbula

September 6, 2012

maheen pankhon se udnaa seekha hai,
aur kehte hain hawaa aaj zor se chali.
mazboot aur kathor hone mein farq hota hai...

boondein

boond ne boond se kaha, 
tujh mein mera aks milta hai
asthir hai mann, 
shithil hai tann,
mukti kaise paayenge hum? 

boond ne kaha,
theher jaa zara,
machalna hai kyun
reh jaayega sab yahin,
hawaa chalegi kuchh yun.

patton ke hilne se, giri thi kuchh boondein aaj
jaane kitne armaan, kaise sihar gaye iss saanjh.