zikra karun?
socho kaisa lagega
behti tarang mein
pat-thar jaisa chubhega
zikra karun?
suno jaisa lagega
kisson ki kundali mein
grahan kuchh atkega
zikra karun?
kuchh aisa lagega
mut-thhi ki ret mein
kaanch nokeela chamkega
July 24, 2011
July 3, 2011
rishta
samet lo na isse
kab se bikhra pada hai
gira hi toh hai
kaun sa phinka pada hai
toota hai utha lo
nahi toh sad jayega
rishta hai sambhalo
nahi toh mar jayega.
kab se bikhra pada hai
gira hi toh hai
kaun sa phinka pada hai
toota hai utha lo
nahi toh sad jayega
rishta hai sambhalo
nahi toh mar jayega.
Subscribe to:
Posts (Atom)