May 17, 2009

gustakhi maaf

dheemi si aahat ko shor samjha
neeli chandni ko bhor samjha
dhundhli fiza ko suroor samjha
halki si khwahish ko zid samjha
chhatpatati lau ko lapat samjha
bikharte moti ko chingari samjha
sikudi hui chadar ko chhaila samjha
daudti hui ghadi ko berukhi samjha
sarakte hue lamhe ko akela samjha
mehenge rishton ko aasaan samjha
bache kuche ko bharpoor samjha
doosre ki utaran ko rangeen samjha
nazuk tha mauka jise sulabh samjha
spashta tha bhaav jise gupt samjha
halka tha sanshay tumhe atal samjha
samajhna tha thoda kuchh zyada samjha
apni thi hatth jise saahas tha samjha
paana tha jisko usse hi daata samjha
gustaakhi maaf humne aapko apna samjha

May 13, 2009

alasya

jab khwaahish aise dhal gayi
har ichha jaise gal gayi
khud se shikayat badh gayi
jab niyat meri ghat gayi

sar chadh ke bola tha vo to
badh chadh badbola tha vo to
ab haq jo saare chhin gaye uske
man uska bhi jhoola tha ab to

man kehta chalta aur sahi
tan kehta thakta kabhi kabhi
zara kam hui jo yeh bheed kabhi
kehta hai bus ab aur nahi

dhikkar hai aisi jeet par
dhun yeh kiske geet par
khokhle ho jaate hain bol saare
jab naaz ho aalas ki neev par


May 10, 2009

kareeb...haan...shayad...

anginat khwaab bun raha tha kal raat
pal do pal mein lagi jaise kal ki baat
meine to aakhein abhi band bhi nahi ki thi
jo usne chhed di judaa hone ki baat
mein sehem gaya, jhijhak gaya
kuchh sochkar lekin thithak gaya
kahin paththar nahi tha main ho gaya
suni ansuni hoti rahi har baat
jaane kab se chhoot chuka tha hamara saath
iraade hi rahe na hue vo aatmsaat
na use aur shayad na hi mujhe

May 9, 2009

anjaan-ajnabi-ajeeb

wahi thake hue chehre hain
sehme hue kapdon mein

wahi bujhi hui si saansein hain
daudte hue dabbon mein

wahi bheegi hui aakhein hain
jhilmilate ishtehaaron mein

bus pheeke se tohfe hain
in rangeen lifaafon mein

kyun thehri hui si hai zindagi
iss phisalte hue samay mein

mere hi khyaal ki upaj hai shayad
ya meri aakhein michli hain shayad
par yeh chashma to naya hi liya tha

uss umang ki talaash mein hun
milegi agle mod par shayad
mein abhi zyada chala nahi shayad

pahuchunga uss mod par aaj nahi to kal
jhoom jaunga uske suroor mein shayad
banjar nahi lagega mujhe aur yeh sheher shayad

chhitkega apne bhi kuchh rang yeh mujh par
samet lega yeh mujhe bhi shayad
na anjaan na ajnabi hoga ab aur yeh sheher shayad

May 6, 2009

aas

yeh shaam kaisi jhoom ke
sard sard ga rahi,
teri yaad kaise ghoom ke
rooh mein sama rahi.
likha hai jiski soch se
yeh haal-e-waqt maine naya
bhara hai uske hosh mein
pyaala-o-kash dosti ka meine naya
har kali pe phool khil raha
taazi os se vo nam raha
pankhudi par giri boond sa
yeh qissa kaisa sambhal raha
bus ek hi cheez hai thehri hui
lagta hai susti behri hui
khurach khurach ke jo na nikle
ishq ki syaahi ye jam gayi
shafaq pe ghir ke badalon ne
hai guftagu ye chhed di
zameen ko mujhse ittefaaq kyun
tumne bheegne ki lat jo daal di
suna hai ab yeh dosti
rehti hai har pal taak mein
kaid hain iski khwahishein
phirti hai rihai ki firaaq mein
main jhoomta hun, ghoomta hun
iss madhoshi ko choomta hun
shaista hai meri taqdeer mujhse
paata tujhe jab bhi aankh kholta hun