May 18, 2011

kya kahun

kya kahun, jab jee karta hai kuchh sunun, 
kya kahun, jab aahat mein hai sukoon, 
kya kahun, jab naakaami bhi sahun, 
kya kahun, jab khamoshi se bahun.

May 10, 2011

ma

kaise sapne laati ho tum, 
raat chand ki baatein si tum, 
ma se mama sab ke rishte, 
har rishte ko silti ho tum. 
sapnon mein kayi deep jalaye, 
aur bhor ke geet sunaye, 
rakshak ho, sanrakshak ho tum, 
sukaarak ho tum, 
janani ho tum. 
tumhe pranaam

May 3, 2011

pawan

girahein khulti hain kuchh yun, 
baatein chalti hain kuchh yun, 
saundhi si khushboo hai ya, 
badli pawan hai kuchh yun. 
meri kuchh man ki thi jo, 
tere hi dil mein thi yun, 
sun sun sulagti hai sun, 
pal pal palat-ti hai sun, 
phisli phisli kyun jaaye, 
bairee pawan hai kuchh yun.

May 1, 2011

katak

atak matak mat khatak khatak tu, 
 bhatak satak mat thithak thithak tu. 
 latak jhatak mat jhijhak jhijhak tu