May 9, 2009

anjaan-ajnabi-ajeeb

wahi thake hue chehre hain
sehme hue kapdon mein

wahi bujhi hui si saansein hain
daudte hue dabbon mein

wahi bheegi hui aakhein hain
jhilmilate ishtehaaron mein

bus pheeke se tohfe hain
in rangeen lifaafon mein

kyun thehri hui si hai zindagi
iss phisalte hue samay mein

mere hi khyaal ki upaj hai shayad
ya meri aakhein michli hain shayad
par yeh chashma to naya hi liya tha

uss umang ki talaash mein hun
milegi agle mod par shayad
mein abhi zyada chala nahi shayad

pahuchunga uss mod par aaj nahi to kal
jhoom jaunga uske suroor mein shayad
banjar nahi lagega mujhe aur yeh sheher shayad

chhitkega apne bhi kuchh rang yeh mujh par
samet lega yeh mujhe bhi shayad
na anjaan na ajnabi hoga ab aur yeh sheher shayad

2 comments:

Prachi said...

wow , this is really really really good.. lovely..

alesserangel said...

this is wonderful.you really have evolved. this one is one to be proud of.