May 3, 2011

pawan

girahein khulti hain kuchh yun, 
baatein chalti hain kuchh yun, 
saundhi si khushboo hai ya, 
badli pawan hai kuchh yun. 
meri kuchh man ki thi jo, 
tere hi dil mein thi yun, 
sun sun sulagti hai sun, 
pal pal palat-ti hai sun, 
phisli phisli kyun jaaye, 
bairee pawan hai kuchh yun.

No comments: